Sunday, March 15, 2009

Poem dedicated to world peace...

Kis liye lad rahe hai yeh desh yeh log yeh apne... 
Kya maksad hai inka, kya dekhe hai inohe koi sapne... 
Sapno mein jab kabhi nazar aata hai, dehshat ko woh nazara... 
Dil darr se seham jaata hai, lahu behta hai mera aur tumara... 

Bhagwaan ek insaan ko banane mein, kitna waqt hai bitate... 
Ussi insaan ko kuch log, pal bhar mein haiwaan hai banate... 
Kaunsi Geeta, kaunsi Quran, nafrat karti hai bayaaan.. 
Kyun yeh log bus ek ungli se, bhoon dete hai pura gulistaan... 

Jal jal ke rakh bante jaa rahi hai, swarg si meri prithvi... 
Phoolo ki khusbhu se mehakti thi, ek waqt meri zameen... 
Woh shaanti woh aman woh insaan, mujhe lauta do.... 
Woh bhai woh behan woh jahaan, mujhe lauta do.... 

Bhook lagne par rote hai, hum dono ke hi bacchee... 
Kyun roti ki jagah uske haath mein, bandook tum ho rakhte... 
Agar hum yunhi, aa pus mein ladte rahege... 
Tau ek din bus jaanwar hi, dharti par raaj karenge... 

Chod do yeh gunaah ka raasta... 
Tumhe bhi apne khuda ka hai waasta... 
Chod do yeh pagalpan yeh makkari yeh junoon... 
Isme sirf aur sirf bahega tumara aur mera khoon... 
Ek baar mauka de mujhe, tujhe seene se laga luga... 
Teri dharti koi bhi apni maa jaisa darja duga... 
Jhoom uthegi hamare aagaan mein khushi... 
Khuda bhi sochega fir, ki insaan banakar nahin ki koi galti....

No comments:

Post a Comment