Surme daani se jab bhi, kajal tum lagati ho
Khuda ki kayanaat ki, khubsoorti ka ehsaas dilaati ho
Tumari aankhon mein yeh kajal, kuch is tarah chamakta hai
Chanda ki chandni aur suraj ki roshni sa damakta hai
Aankhen tumahari surma lagne ke baad, shayarana lagti hai
Pee jaaon saari sharab mein, yeh pyaar ka mehkhana lagti hai
Aankhon mein hume bhi kajal ki tarah basa lo
Hume bhi apna deewana, apna parwana bana lo
Uss surme ka naseeb hum se bahot badkar hota hai
Kam se kaam hamesha aapke kareeb tau rehta hai
Hume bhi apne aas paas ek aise jagah bitha do
Deedar umar bhar karte rahe aapka, aise koi sazaa do
Saath mera aur tumahra, kal fir se ho na ho
Isliye aaj hi mujhe bharosa do, ki tum bus meri ho
Surme ki tarah tumahare zindagi mein khubsurti bhar duga
Meri tum hui, tau maut se pehle apne aankon dur na hone duga
Surme Daani...
Sunday, March 15, 2009
Poem dedicated to world peace...
Kis liye lad rahe hai yeh desh yeh log yeh apne...
Kya maksad hai inka, kya dekhe hai inohe koi sapne...
Sapno mein jab kabhi nazar aata hai, dehshat ko woh nazara...
Dil darr se seham jaata hai, lahu behta hai mera aur tumara...
Bhagwaan ek insaan ko banane mein, kitna waqt hai bitate...
Ussi insaan ko kuch log, pal bhar mein haiwaan hai banate...
Kaunsi Geeta, kaunsi Quran, nafrat karti hai bayaaan..
Kyun yeh log bus ek ungli se, bhoon dete hai pura gulistaan...
Jal jal ke rakh bante jaa rahi hai, swarg si meri prithvi...
Phoolo ki khusbhu se mehakti thi, ek waqt meri zameen...
Woh shaanti woh aman woh insaan, mujhe lauta do....
Woh bhai woh behan woh jahaan, mujhe lauta do....
Bhook lagne par rote hai, hum dono ke hi bacchee...
Kyun roti ki jagah uske haath mein, bandook tum ho rakhte...
Agar hum yunhi, aa pus mein ladte rahege...
Tau ek din bus jaanwar hi, dharti par raaj karenge...
Chod do yeh gunaah ka raasta...
Tumhe bhi apne khuda ka hai waasta...
Chod do yeh pagalpan yeh makkari yeh junoon...
Isme sirf aur sirf bahega tumara aur mera khoon...
Ek baar mauka de mujhe, tujhe seene se laga luga...
Teri dharti koi bhi apni maa jaisa darja duga...
Jhoom uthegi hamare aagaan mein khushi...
Khuda bhi sochega fir, ki insaan banakar nahin ki koi galti....
Holi ke woh din....
" Holi ke din yaad mujhe aata hai woh bachpan "
" Yaaron ki toli mein shamil hokar karte the uddham"
" Paani ke gubaaron se doston ko khubh bheegaya "
" Aaj holi ke din, yaad fir woh bachpan hai aaya "
" Laal hare neele peele rango se holi manate the "
" Doston ko zabar dasti keechad mein nehalate the "
" Bhang se bani mithai chupke se hum khate the "
" Bhang ke nashe mein khoob ho halla machate the "
" Khelte khelte hum jab thak jaate the "
" Maa ke haath ka bana swadist bhojan khate the "
" Aaj apne desh apni mitti se koson dooor bhethe hai "
" Holi ka rang desh mein kaisa hoga yehi sochte rehte hai "
" Iss buri niyat ne mitti se alag kar diya "
" Jeene ke liye kya chahiye bus 2 waqt ki rotiyaan "
" Mann karta hai ud kar apne desh ko chala jaooon "
" Uski unnati ke liye, mein bhi thoda sa haath bataaoon"
" Woh holi ke din........"
- Vinay Solanki
Subscribe to:
Posts (Atom)