Wednesday, December 30, 2020

Kabhi kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai

 

Kabhi kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai

Ki resolutions banaoo jaise hi naya saala aata hai

Resolutions ke naam pe kaee vaade apne aap se karta hoon

Kuch dino-mahino mein hi vaade todne ka khayal aata hai

 

Do hazaar bees ne ek baat ka ehsaas dilwa diya

Zaruri na paisa na gaadi na naam na baadi, mujhe antar-mann se milwa diya

Zindagi ka bharosa nahin, iss saal ne dil se jeena sikhla diya

Khuda ne insaan ko dharti se pyaar karne ka sabak sikhla diya

 

Kabhi kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai

Ki zindagi ki bhaag daud mein kahin koi malaal na reh jaaye

Apne aap se baatein karna ka bhi mauka mujhe mile

Isliye aapse baatein karne ka dil mein khayaal aata hai

 

Do hazaar ikkees mein bhagwaan karein aapko har khushi mile

Phir se haath milane aur gale lagne ka mauka bhi sabko mile

Insaan har bimaari se ladne mein saksham hai

Isliye insaan ko insaaniyat yaad dilane ka khayaal aata hai

Tuesday, February 17, 2015

Beete Hue WOH PGPX ke Din......


    Kai sawaal mann mein liye aaye the hum yahan ek saal pehle
    Kai jawaab dhoondne chale aaye the hum yahan ek saal pehle
    Apne parivaar, apne doston, apni naukri peeche chod aaye yahan 85 taare
    Apna ghar, apna aashiyaan, apna sansaar chod aaye yahan hum saare

    Shuru ho gaya ye suhana safar, shure hote dikhaaye isne kayee saare asar,
    Kabhi galat fehmi apna humla bola tau kabhi samjah daari ne usse jala diya
    Kabhi nadaaniyon apna mukhda dikhaya, yahan zaroor kuch gadbad hai daaya


    Dheere dheere waqt ne Naye rishte bune, hole hole kaee naye dost bhi bane
    Ek dusre ko jaanna jab humne shuru kiya, kuch an ban kuch uljhan ne khoob pareshaan kiya
    Par che anjaan taaron ke saath, syndi ke uss room mein ek nayi synergy apna roop liye

    Woh dardanaak pehla quiz aaj bhi mujhe yaad hai, uss quiz ka retake dene ki fariyaad hai

    Woh dorm 26 common room ka shor aaj bhi muje yaad hai, uss shor se hui naayi bhor bhi muje yaad hai,
    Woh exam ka pressure, woh grades ka darr, woh cheatsheets, woh assignments ki gola baari
    Woh talent nite ki taayaari mein jute, unn 85 kshatriyoon ki dhoom machati sawaari,
    Kar dikhaya pgpx ke iss ninth batch ne kuch khaas, jeet laaye t-nite aur racha naya itihaas

    teen alag alag gut mein bandhh kar chale gaye paaraye desh mein kuch sikhne aur samjahne,
    kya sikha pata nahin, kya samjha pata nahin, par aish kiya khoob, saath gaye kaee apne,

    koi profile hai banata, koi speakers hai bulata, koi apne culture se jude rehne ka raasta hai dikhata,
    koi media mein apna brand hai banata, koi prof se dates aage hai badwaata, tau koi pet bharne ke liye naukri hai dilaata,
    koi ne interactions ki bharmaar hai laga di, tau kisine connexions mein naaak unchi hai karwaadi,
    kisine elections karwaaye, kisni mein IIP mein pardes ghumaya, tau kaayino ne hume complex concept bhi samjhaaya,
    kisine sports khelna sikhaya, tau kisine facebook wall banake bada mazaa dilaaya,

    khatam hone aa gaya hai suhaana, yeh anjaan, yeh deewana sa safar,
    khatam hone aa gaya, iss safar se jude saare acche aur bure asar,
    aaon hum saare milke aaj yeh kasam hai khaate, jaaye kahin bhi rahe kahin bhi
    ek dusrre ko kam se kam ek msg tau karenge, 
    birthday pe koi cake lagaye na lagaye, ek duje ko yaad har pal hum karenge
    thaamo haathon mein haath, lag ek dusre gale, aur bhoolon saare shikwe aur gile

    Beete Hue WOH suhaane din pata nahin ab kab aayenge
    Beete Hue WOH suhaane pal pata nahin ab kab aayenge

    Jahan Bhi kshatriye jaayenge, pyaar ka tufaan laayenga
    PGPX Rocks !! X9 Rocks !! IIM-A Rocks !! we 85 stars Rocks !!

Thursday, December 25, 2014

It is the TIME I wish SANTA for Everyone.....


It is the time of the year, when every one in the family comes near
It is the time again, when you tend to forget all your pains
It is the time that brings along, togetherness and gifts unknown
It is the time, when those far away, miss family and friends night and day
 

It is the time when snow flakes touch the colder ground

It is the time when kids wish for the red and white Santa to be around
It is the time when the 365 days are about to come to an end
It is the time when new hopes are about to come into existence
 
It is the time when jingle bells, whistle howls and love find its grounds
It is the time when I look around and wish to fulfill wishes abound 
It is the time to forget and forgive, it is the time to hug and to cherish
It is the time to capture moments to remember
It is the time to wish goodness, peace and evil to surrender
 
It is time, when I wish there is a SANTA for everyone
It is time, when I beg there is a SANTA in everyone
It is time, when I pray there is a SANTA to reach everyone

It is time, when I demand there is a SANTA in east and west
It is time, when I demand there is a SANTA in good, ugly and best
It is time, when I demand there is a SANTA for Hindu and Muslims
It is time, when I demand there is a SANTA for Poor and Pilgrims


It is time now to say MERRY MERRY CHRISTMAS
It is time now to pray A VERY VERY HAPPY X'MAS

GOD BLESS YOU !! 
 

Friday, December 20, 2013

EK LADKI HAI DEEWANI SI

EK LADKI HAI DEEWANI SI
“ek ladki hai deewani si, ek ladki hai anjaani si”
“mujse pucha karti hai, yeh pyar kaise hota hai”
“mein bus yehi kehta hun, dua karo har koi pyaar kar sake“
Kyunki ?
“pyaar us chidiya ka naam hai, jo bina par bhi ud sake”
“pyaar tau ek aisa kaam hai, jo pagal aur buddhu bhi kar sake”
“pyaar us rooh ka thikana hai, jo bina astitva bhi tumhe pyaar de sake”
“pyaar se rangeen ye zamana hai, pyaar se koi na bach sake”
 
“har din yeh soch lo, ki kisi ek insaan ko tau khush karna hai“
“har din yeh soch lo, kisi ek ki zindagi mein pyaar bharna hai“
“mata pita se pyaar karo, bhai behno aur dosto se pyaar karo“
“sirf aaj ke din hi nahin, har din kisike pyaar ka intezaar karo“
“kisiko miss karna aadat bana lo, kisi ki awaaz sunna aadat bana lo“
“tumhe woh apnaaye ya na, tum magar pyaar ko zaroor apna lo“
“ek ladki hai begaani si, ek ladki hai anjaani si“
“ek ladki hai meri meenu si, jo is deewane ki deewani hai“
“ek ladki hai deewani si, ek ladki hai anjaani si”

Sunday, December 23, 2012

Ek Nayi Shuruaat...A New Beginning

ek nayi shuruaat, ek nayi subah kuch apni si
ek naya din, ek naya sapna kuch apna sa
ek nayi umeed, ek nayi koshish kuch apni si
ek nayi kiran, ek nayi roshni kuch tapti si

ek nayi shuruaat, ek nayi subah kuch apni si

ek nayi soch, ek naya aavishkaar kuch apna sa
ek behka dil, ek nayi dhadkaan kuch apni si
ek naya kaam, ek naya safar kuch apna sa
ek nayi shaam, ek naya jaam kuch apna sa

ek nayi shuruaat, ek nayi subah kuch apni si

ek naya chaand, ek naya suraj kuch apna sa
ek nayi aaan, ek nayi taan kuch apni si
ek naya sur, ek naya sangeet kuch apna sa
ek nayi taal, ek nayi sargam kuch apni si

ek nayi shuruaat, ek nayi subah kuch apni si

ek nayi khushboo, ek nayi sugandh kuch apni si
ek naya daur, ek naya akrosh kuch apna sa
ek nayi zindagi, ek nayi bandagi kuch apni si
ek naya saal, ek naya haal kuch apna sa

ek nayi shuruaat
ek naya shayaar, ek vinay solanki kuch apna sa
Vinay-D-Shayar

Monday, June 21, 2010

Papa mere paaaa...papaaa@Fathers Day 2010

Paaa…mere paaa…papaaaaaa...papa..

Paida hone par, Maa se pehle hume dekhten hai Paa
Ungli thaam kar chalna hume sikhate hai Paa
Kabhi kabhi Maa daante tau hume bachate hai Paa
Ghar se school bus tak chodne jaate hai Paa

Cycle chalana tumne hi sikhaya
Toofan mein subah ka sooraj tumne dikhaya
Garmi ki chuttiyon gaon jaate waqt train mein tumne chadaya
Juhu beach pe zidd kari, tau kala khatta gola tumne khilaya

Paa ne hamesha zindagi mein sahi disha dikhaee
Paa ne hamesha har mushkil mein umeeed hai jagaee
Paa ne geerte geerte, haath pakad kar kheecha hai humko
Paa ne pyaar dekar, ek paude ki tarah seecha hai humko

Papa daddy dad paa pitaaji, kitne naamon se tum jaane jaate
Har naam mein lekin, hum sab ek hi roop hai paate
Paa tumhe hamesha aur hamesha izzat aur pyaar denge hum
Paa tumhe hamesha aur sada iss dil mein rakhenge hum
Paaa...mere paaa...papaaaa..papa

Love you papa

Saturday, May 8, 2010

Mother Day May 9th 2010 Shayari

Meri maaa, pyaari maaa, bholi maaa, mummaaa…

Maa isss shabd mein tau saara jahan samaya hua hai
Maa isss shabd se hi sansar ne janam paaya hua hai

Maa tau sirf laad karti aur pyaar deti hai
Maa tau sirf bachon ko hi yaad karti aur dulaar deti hai

Maa ki daant mein pyaar hai, maa ki maar bhi pyaar hai
Maa ke khaane mein pyaar hai, maa ke lori gaane mein bhi pyaar hai

Maa ko banaakar bhagwaan ne sab bana diya
Maa ko banaakar khuda ne har matlab samjha diya
Maa ko banaakar jesus ne har raaz ko suljha diya
Maa ko banaakar uparwaale ne dharti ki buniyaad ko khada kiya

Dharti ko bhi hum maa kehte hai, Durga ko bhi hum maa kehte hai
Kaali mein bhi maa ka roop, Maa ka pyaar ek chaanv in kadi dhoop
Vaishno dhaam par behti hai maa, zindagi ke har inteehan par saath deti hai maa

Dard hote hi mujhe pehle yaad aati hai MAA
Pyaas se gala sukhe tau paani peelati hai MAA
Exam ke liye subah subah uthati hai MAA
Exam mein fail ho jaaye tau console karati hai MAA
Exam mein first aaye tau tohfa bhi dilaati hai MAA