Kabhi
kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai
Ki
resolutions banaoo jaise hi naya saala aata hai
Resolutions
ke naam pe kaee vaade apne aap se karta hoon
Kuch
dino-mahino mein hi vaade todne ka khayal aata hai
Do
hazaar bees ne ek baat ka ehsaas dilwa diya
Zaruri
na paisa na gaadi na naam na baadi, mujhe antar-mann se milwa diya
Zindagi
ka bharosa nahin, iss saal ne dil se jeena sikhla diya
Khuda
ne insaan ko dharti se pyaar karne ka sabak sikhla diya
Kabhi
kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai
Ki
zindagi ki bhaag daud mein kahin koi malaal na reh jaaye
Apne
aap se baatein karna ka bhi mauka mujhe mile
Isliye
aapse baatein karne ka dil mein khayaal aata hai
Do
hazaar ikkees mein bhagwaan karein aapko har khushi mile
Phir
se haath milane aur gale lagne ka mauka bhi sabko mile
Insaan
har bimaari se ladne mein saksham hai
Isliye
insaan ko insaaniyat yaad dilane ka khayaal aata hai