Wednesday, December 30, 2020

Kabhi kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai

 

Kabhi kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai

Ki resolutions banaoo jaise hi naya saala aata hai

Resolutions ke naam pe kaee vaade apne aap se karta hoon

Kuch dino-mahino mein hi vaade todne ka khayal aata hai

 

Do hazaar bees ne ek baat ka ehsaas dilwa diya

Zaruri na paisa na gaadi na naam na baadi, mujhe antar-mann se milwa diya

Zindagi ka bharosa nahin, iss saal ne dil se jeena sikhla diya

Khuda ne insaan ko dharti se pyaar karne ka sabak sikhla diya

 

Kabhi kabhi mere dil mein aisa sawaal aata hai

Ki zindagi ki bhaag daud mein kahin koi malaal na reh jaaye

Apne aap se baatein karna ka bhi mauka mujhe mile

Isliye aapse baatein karne ka dil mein khayaal aata hai

 

Do hazaar ikkees mein bhagwaan karein aapko har khushi mile

Phir se haath milane aur gale lagne ka mauka bhi sabko mile

Insaan har bimaari se ladne mein saksham hai

Isliye insaan ko insaaniyat yaad dilane ka khayaal aata hai