Monday, June 21, 2010

Papa mere paaaa...papaaa@Fathers Day 2010

Paaa…mere paaa…papaaaaaa...papa..

Paida hone par, Maa se pehle hume dekhten hai Paa
Ungli thaam kar chalna hume sikhate hai Paa
Kabhi kabhi Maa daante tau hume bachate hai Paa
Ghar se school bus tak chodne jaate hai Paa

Cycle chalana tumne hi sikhaya
Toofan mein subah ka sooraj tumne dikhaya
Garmi ki chuttiyon gaon jaate waqt train mein tumne chadaya
Juhu beach pe zidd kari, tau kala khatta gola tumne khilaya

Paa ne hamesha zindagi mein sahi disha dikhaee
Paa ne hamesha har mushkil mein umeeed hai jagaee
Paa ne geerte geerte, haath pakad kar kheecha hai humko
Paa ne pyaar dekar, ek paude ki tarah seecha hai humko

Papa daddy dad paa pitaaji, kitne naamon se tum jaane jaate
Har naam mein lekin, hum sab ek hi roop hai paate
Paa tumhe hamesha aur hamesha izzat aur pyaar denge hum
Paa tumhe hamesha aur sada iss dil mein rakhenge hum
Paaa...mere paaa...papaaaa..papa

Love you papa

Saturday, May 8, 2010

Mother Day May 9th 2010 Shayari

Meri maaa, pyaari maaa, bholi maaa, mummaaa…

Maa isss shabd mein tau saara jahan samaya hua hai
Maa isss shabd se hi sansar ne janam paaya hua hai

Maa tau sirf laad karti aur pyaar deti hai
Maa tau sirf bachon ko hi yaad karti aur dulaar deti hai

Maa ki daant mein pyaar hai, maa ki maar bhi pyaar hai
Maa ke khaane mein pyaar hai, maa ke lori gaane mein bhi pyaar hai

Maa ko banaakar bhagwaan ne sab bana diya
Maa ko banaakar khuda ne har matlab samjha diya
Maa ko banaakar jesus ne har raaz ko suljha diya
Maa ko banaakar uparwaale ne dharti ki buniyaad ko khada kiya

Dharti ko bhi hum maa kehte hai, Durga ko bhi hum maa kehte hai
Kaali mein bhi maa ka roop, Maa ka pyaar ek chaanv in kadi dhoop
Vaishno dhaam par behti hai maa, zindagi ke har inteehan par saath deti hai maa

Dard hote hi mujhe pehle yaad aati hai MAA
Pyaas se gala sukhe tau paani peelati hai MAA
Exam ke liye subah subah uthati hai MAA
Exam mein fail ho jaaye tau console karati hai MAA
Exam mein first aaye tau tohfa bhi dilaati hai MAA