Sunday, May 10, 2009

Maa tujhe salaam.....

Dedicated to all the mothers in the world.....

humein nau mahine coke mein rakh kar, kitni pareshani tu uthati hai
humein paida kar, pal pose kar, kitni pareshani tu uthati hai
humein daat kar, maar kar padati aur tu likhati hai
humein apne haathon se khana khila kar, kitna pyaar tu jatati hai

maa tera darja har bhagwaan aur har insaani rishte se hai bada
maa tera pyaar paane ke liye, har baccha raah mein hai khada
maa tere liye agar swarg bhi dharti pe laa du tau kam hoga
maa teri jaisee murat tau bhagwaan dekh kar bhi dung hoga

maa iss shabd kaa matlab sirf pyar, laad aur apna punn hota hai
maa iss shabd mein hi saare sansaar ka meetha russ hota hai

subah subah jab teri pooja ke swar kaano mein gun gunate hai
mann mein kitni shaanti, yeh bharr kar chale jaate hai
bus tera aashirwaad aur haath rakhna humare sir par
bus tere saaye mein hi paar ho jaaye zindagi ka bhavya saagar

maa aaj hum sab milkar tujhe karte hai salaaam
maa aaj hum sab milkar lete hai tera naam
apne bacche tujko hai pyaare, ravan ho ya raam
maa bus tu hi ek hai SPECIAL, aur hum saare insaan aam

MAA........